Extra context verses: 0
john 1:1 (Table III)
Eusebian Number
1.1 | 3.14 | 4.1 | 4.3 | 4.5 |
---|---|---|---|---|
Matt.1.1-16 | Luke.3.23-38 | John.1.1-5 | John.1.9-10 | John.1.14 |
1Īsā Masīh bin Dāūd bin Ibrāhīm kā nasabnāmā: 2Ibrāhīm Is'hāq kā bāp thā, Is'hāq Yāqūb kā bāp aur Yāqūb Yahūdāh aur us ke bhāiyoṅ kā bāp. 3Yahūdāh ke do beṭe Fāras aur Zārah the. (Un kī māṅ Tamr thī.) Fāras Hasron kā bāp aur Hasron Rām kā bāp thā. 4Rām Ammīnadāb kā bāp, Ammīnadāb Nahson kā bāp aur Nahson Salmon kā bāp thā. 5Salmon Boaz kā bāp thā. (Boaz kī māṅ Rāhab thī.) Boaz Obed kā bāp thā. (Obed kī māṅ Rūt thī.) Obed Yassī kā bāp aur 6Yassī Dāūd Bādshāh kā bāp thā. Dāūd Sulemān kā bāp thā. (Sulemān kī māṅ pahle Ūriyyāh kī bīwī thī.) 7Sulemān Rahubiyām kā bāp, Rahubiyām Abiyāh kā bāp aur Abiyāh Āsā kā bāp thā. 8Āsā Yahūsafat kā bāp, Yahūsafat Yūrām kā bāp aur Yūrām Uzziyāh kā bāp thā. 9Uzziyāh Yūtām kā bāp, Yūtām Āḳhaz kā bāp aur Āḳhaz Hizqiyāh kā bāp thā. 10Hizqiyāh Manassī kā bāp, Manassī Amūn kā bāp aur Amūn Yūsiyāh kā bāp thā. 11Yūsiyāh Yahūyākīn aur us ke bhāiyoṅ kā bāp thā. (Yih Bābal kī jilāwatanī ke daurān paidā hue.) 12Bābal kī jilāwatanī ke bād Yahūyākīn Siyāltiyel kā bāp aur Siyāltiyel Zarubbābal kā bāp thā. 13Zarubbābal Abīhūd kā bāp, Abīhūd Iliyāqīm kā bāp aur Iliyāqīm Āzor kā bāp thā. 14Āzor Sadoq kā bāp, Sadoq Aḳhīm kā bāp aur Aḳhīm Ilīhūd kā bāp thā. 15Ilīhūd Iliyazar kā bāp, Ilīazar Mattān kā bāp aur Mattān Yāqūb kā bāp thā. 16Yāqūb Mariyam ke shauhar Yūsuf kā bāp thā. Is Mariyam se Īsā paidā huā, jo Masīh kahlātā hai. |
23Īsā taqrīban tīs sāl kā thā jab us ne ḳhidmat shurū kī. Use Yūsuf kā beṭā samjhā jātā thā. Us kā nasabnāmā yih hai: Yūsuf bin Elī 24bin Mattāt bin Lāwī bin Malkī bin Yannā bin Yūsuf 25bin Mattitiyāh bin Āmūs bin Nāhūm bin Asaliyāh bin Nogā 26bin Mā'at bin Mattitiyāh bin Shamaī bin Yoseḳh bin Yūdāh 27bin Yūhannāh bin Resā bin Zarubbābal bin Siyāltiyel bin Nerī 28bin Malikī bin Addī bin Qosām bin Ilmodām bin Er 29bin Yashua bin Iliyazar bin Yorīm bin Mattāt bin Lāwī 30bin Shamāūn bin Yahūdāh bin Yūsuf bin Yonām bin Iliyāqīm 31bin Maleāh bin Minnāh bin Mattitiyāh bin Nātan bin Dāūd 32bin Yassī bin Obed bin Boaz bin Salmon bin Nahson 33bin Ammīnadāb bin Admīn bin Arnī bin Hasron bin Fāras bin Yahūdāh 34bin Yāqūb bin Is'hāq bin Ibrāhīm bin Tārah bin Nahūr 35bin Sarūj bin Raū bin Falaj bin Ibar bin Silah 36bin Qīnān bin Arfaksad bin Sim bin Nūh bin Lamak 37bin Matūsilah bin Hanūk bin Yārid bin Mahalalel bin Qīnān 38bin Anūs bin Set bin Ādam. Ādam ko Allāh ne paidā kiyā thā. |
1Ibtidā meṅ Kalām thā. Kalām Allāh ke sāth thā aur Kalām Allāh thā.
2Yihī ibtidā meṅ Allāh ke sāth thā.
3Sab kuchh Kalām ke wasīle se paidā huā. Maḳhlūqāt kī ek bhī chīz us ke baġhair paidā nahīṅ huī.
4Us meṅ zindagī thī, aur yih zindagī insānoṅ kā nūr thī.
5Yih nūr tārīkī meṅ chamaktā hai, aur tārīkī ne us par qābū na pāyā. |
9Haqīqī nūr jo har shaḳhs ko raushan kartā hai duniyā meṅ āne ko thā. 10Go Kalām duniyā meṅ thā aur duniyā us ke wasīle se paidā huī to bhī duniyā ne use na pahchānā. |
14Kalām insān ban kar hamāre darmiyān rihāishpazīr huā aur ham ne us ke jalāl kā mushāhadā kiyā. Wuh fazl aur sachchāī se māmūr thā aur us kā jalāl Bāp ke iklaute Farzand kā-sā thā. |